Xiaomi Launched New Battery Saving Features for MIUI 11 Enable Now | Miui 11 battery Saving Tricks

Xiaomi phones mein update pe update aata ja raha hai but abhi tak kuchh bhi battery backup mein improvement nahin dikha lekin xiaomi walon ne ek bahut behtarin features launch kaya hai jiska use karke aap kisi bhi Sami phone ko one time charge karke 15 days tak aaram se use kar sakte ho and believe me yeh features kisi bhi Xiaomi phone mein 100% work karegai karega. To Abhi se is post ko Apne doston ke sath share kar dijiye aur agar apne TechnoMind Ujjwal YouTube channel ko subscribe nahin kiya hai to abhi jakar subscribe kijiye aur saathi bell icon ko bhi press kar dijiyega aisei interesting videos and article paane ke liye to isliye bina time west kiye yeh sara features and settings dekh lete hai.

 

Friends sabse pahle ham log kuchh settings karenge apne xiaomi phone mein taki aapko is new features ka fayda jyada se jyada mil sake and aap jaan lenge to achcha rahega yeh new features aapko manually install karna padega.

 

Trick No.1 – Trick number 1 ke liye aap sabse pahle setting option mein jaaiye uske baad aapko niche scroll down karke app option me click karna hai uske baad aap manage apps option per jaaiye then aapko find karna hoga kis kis app ke andar others permission section ke andar display popup window wala options enable hai. Yeh option basically social media apps ke ander jyada enable raheta hai to aapko simple social media ko find karke ek ek karke open karna hai and others permission section per jakar do option disable kar dena hai ek to ho gaya display popup window while is running in the background and uske nichei aur ek aapko display popup window dekhne ko milega in do option ko aapko definitely disable kaise naye taki display popup window se aapke phone mein thoda sa bhi battery use na ho. Display popup window kya hai? Yeh to aapko pata hi hoga shayad, WhatsApp Instagram Facebook karte time ham logon ke phone mein main jo ek notification like popup panel show hota hai usei window popup notification kahan jata hai. Ise enable rakhne se jis bhi app se pop up notification aata hai ow app automatically breakground mein run ho jata hai and us wajah se aapka bahut jyada battery use hota hai.

See also  MIUI 12.5 Update Latest Eligible Devices 2021 Add 15+ New Devices

Trick No.2 – Ab main aapko dikha deta hun aap is new feature ko apne phone mein implement kaise karenge taki ki aap kisi bhi Sami phone mein one time charge karke 15 days tak bina kisi charging ke apne phone ko chala sako. Iske liye aapko new update mi security application ko install karna padega aapke Xiaomi phone mein tabhi wo features aapko milega kyunki xiaomi walon ne is brand new feature ko mi security application ke andar add kara hai and is brand new mi security app ko aap free mein download and install kaise karenge wo aapko pata chal jaega agar aap full article read karte ho to. Is latest mi security application ko open karne ke bad aapko simply battery and performance option pe jana hai then up ko milega ultra battery saver mode isse aapko enable kar dena hai, uske bad aapke phone mein kuchh animation show hoga and uske bad aapki device ultra battery saver mode mein chala jaega aur aapko home screen mein dekhne ko milega aap ultra battery saving mode ko enable rakh ke us device ko kitne din chala sakte ho jaise ki mere case mein tha 378 hours and 56 minutes is hours ko agar aap days mein convert karenge to aapko milega ki ki 15 din tak aap apne xiaomi phone ko chala sakte ho.

Lekin lekin lekin yahan per jaane wali baat hai xiaomi ultra battery saving mode ko enable rakhne ke bad agar aap apne device ko bilkul bhi chedkhani nahin karte ho jaise ki games khelna ya fir online movies dekhna yeh sab band rakhte ho tabhi yeh possible matlab aap one time full charge karke apni phone ko aap 15 din tak use kar payenge but usi jagah per agar aap ultra battery saving mode ko enable karne ke bad bhi games khelte ho online movies dekhte ho to aap bilkul bhi expect mat kijiega ki aapka phone ek bar charge karke 15 din tak chalega. Ultra battery saving mode ko enable karne ke bad kafi sira features disable ho jata hai jaise ki notification bar open nahin hoga ya fir wallpaper set nahin kar pana, aise hi karke aap check karenge to bahut sara feature sabko milega jo ki aap use nahin kar payenge ultra battery saving mode ko enable kar dene se but guys technomind ujjwal is here… Main aapko ultra battery saving mode ka ek alternative batata hun jiska use karke aap one time charge karke apne xiaomi phone ko minimum 2-3 din tak use kar payenge thoda bahut games and movies dekhne ke bad bhi.

See also  Smartphone Battery Drain Issue Permanente Solutions 2021

Trick No.3 – Trick number 3 ka use karke aap ultra battery saving mode jitna to nahin but lagbhag usi type ka battery backup le payenge iske liye aapko simply setting option mein jaana hai uske bad aap niche se cal down karenge to aapko milega digital wellbeing ka features use per aap tap kijiye to aap ko teen number per mil jaega focus mode wala option use per ab jaaiye then aapko aapke phone per jitne bhi applications hai un sabhi application ke thk karke focus more to enable kar dena but yeha per aap Jo bhi game khel kar apna time batate ho us game ko select karne ki koi jarurat nahin hai. To focus mode ko enable karne ke bad aapko iska 3 fayda milega

1. Battery kam se kam use hoga kyunki sara apps stop ho jaega 2. Processor better tarike se kam kar payega and 3. Agar aapko game khelte time lag face karna padta hai to wo bhi isse kafi had tak solve ho jaega aur agar aap nahin jante ho ki focus mode ko enable kaise kiya jaaye kisi bhi phone mein to iske liye aap TechnoMind Ujjwal channel mein visit karke how to enable focus mode in any phone wala video dekh sakte ho us video mein dikhaya gaya tricks ko apply karke aap apne phone mein focus mode enable kar payenge.

New Security App Download Link
You have to wait 30 seconds.
 
See also  100% WORKING INSTALL MIUI 12 IN ANY PHONE | MIUI 12 FEATURES

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top