How to increase battery life of Android phones? Aaj main aapke sath kuchh top-secret dhamakedar battery hacks share karne wala hun.
Jisse aap aap kisi bhi phone per battery life ko heavily improve kar payenge.
How to increase battery life of Android phones:
Increase battery life trick 1 –
Sabse pahle aap security application ko open kijiye uske bad security aapke setting option mein jao.
Iske bad battery optimisation per aapko click karna hai. Uske bad niche ek option milega app battery saver ka.
Use per click kartai aapko do tarah ki apps milega 1) Active Apps and 2) Sleeping Apps.
Aapko simply active apps per click karke ek ek katke sabhi apps ko battery saver mode per set karke.
background restriction ko active kar dena hai.
Aur yeh aap ko kisi bhi games ke sath nahin karna hai kyunki isse bahut game lag face karna pad sakta hai aapko.
Ek kafi effective method a kisi bhi phone mein battery drain rokane ke liye.
Increase battery life trick 2 –
Iske liye hum log ek top-secret application use karenge jo ki har ek phone per hona aaj ke time mein bahut important hai.
yeh App aapke phone mein 2 intelligent feature activate kar deta hai.
Is application ki download link is article ke ekadam niche aapko mil jaega.
Tu is application Ko download karne ke bad aapko app ke setting option mein Jaana hai.
Uske bad ek intelligent power saving karke option aapko milega use per aap click keejiye.
Use per click kar diya aapko 2 options milega…
1) Disable all connectivity when power is low and 2) Auto switch mode when the power is low.
Yeh 2 features aapko definitely enable kar dena hai. Isase kya hota hai dekho
Aap ek chij notice karke dekhna 30% ke kareeb jab bhi aapke phone per battery rahega.
Use time sabse jyada battery draining issue face karna padta hai.
Yah 2 features enable kar dene se aapke phone per 30% ke kareeb battery rahane per fir kabhi battery drain nahin hoga.
Increase battery life trick 3 –
Aap definitely apne phone per games to khelte Ho Jaise ki pubg mobile free fire ya fir call of duty mobile.
Tu game khelte time apne phone per app DND matlab ki do not disturb enable karke uske bad game kheliye.
Jab bhi game khelte time call aata hai ya fir koi messages receive hota hai aapke phone per toh us time processor ke uper bahut load aa jata hai.
Processor pe load aane per battery drain bahot jyada hota hai.
To usi jagah per agar app DND activate kar denge toh bhai load bilkul bhi nahin aaega game khelte waqt aapke phone per.
And aapko ek smooth gaming experience tu mile gai aur game khelne ke bad bhi aapke phone per battery life achcha khasa banaa rahega.
Aur bhi battery saving tips and tricks janne ke liye CLICK HERE.
Game booster