How to change charging animation in Redmi 2022 Article #135

How to change charging animation in Redmi 2022: Agar aap aapne redmi phone mein without root access kiye just 1 click mein charging animation ko change karna chate ho toh is wale article ko full read karo.

Aaj main aapko step by step guide karne wala hun jisse aap her ek type ke phones per charging animation ko change kar payenge. Agar aapke pas koi photo hai toh usse aapne phone ki charging screen per set kar payenge.

Aur is article ko full read karne ke bad aap aapne phone per charging videos ki bhi feature ko enable kar payenge jo ki her ek brand ke phone per kam karega.

Ek chiz mein aapko 1st mein baata dena chata hun ki in sabhi settings ko apply karne ke bad agar aapko lag raha hai ki yeh sara charging animations set karne per aapki phone slow charge hoga.

Toh mere bhai aisa nahi hai, is trick ko kuch aise optimized kara gaya hai ki… yeh trick kisi bhi phone per use karne se us phone ki charging per koi issue nahi aayega matlob ki charging time increase nahi hoga.

How to change charging animation in Redmi 2022

Aab main aapko wo baata deta hun ki How to change charging animation in Redmi 2022?

Is ke liye aapke phone per ek application aapko download and install karna padega. aur us wale app ki free download link is article ke niche aapko mil jayega. Toh sabse pahele toh aap us wale app ko ja kar free mein download and install karlo.

See also  MIUI 12.5 New 40 Hidden Features | MIUI 12 Features | MIUI 12.5

uske bad app open kartai aapko kafi sara custom charging animation mil jata hai. Jo ki aap chaho to aapne phone me set kar sakte ho. Mujhe toh bhai is wale app ke ander diye gaye her ek charging animation-e-paasand hai. aur mein jaanta hun ki aapko bhi bahut pasand aayega.

Toh us mein se aap koi sa bhi charging animation aapne mein mein aap set kar sakte ho. Ya fir aagr app aapne phone mein se koi changing animation set kar chate ho toh is ke liye kya karo.

Is wale aap ko open karne baad hi aapko isse home screen per ek Plus (+) icon dekhne ko milega. Usper aapko click karna hai uske bad changing wallpaper option per click karo.

aur uske bad aapne phone se aapko jo bhi wala image aacha lagta hai wo aap select karke completed wale button per click kar dena and uske bad tik wale icon per aapko click karna hai, toh aapka kam khatam.

uske bad aapne phone ko app charging per laga ker dekhna aapke phone per new charging wallpaper or charging animation set ho jayega.

Is wale same process ko follow karke aap charging screen per video bhi set kar sakte ho. kaise karoge iske liye kya karo app ko open karo then aap plus (+) wale icon per click karke.

Isbar charging animation per click karo then aapko phone per se koi bhi ek video ko select karke completed wale button per click kar dena toh bhai aapke phone per charging animation or charging video set ho jayega.

See also  Smartphone Battery Drain Issue Permanente Solutions 2021

Aur aapne jo search kiya tha How to change charging animation in Redmi 2022 wo aap isse solve kar payenge.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top