Budget Phone ko Gaming Phone Mein Convert Kaise Kare: Kisi bhi low price wale phone ko ek gaming phone mein convert kaise karna hai. Wo aaj main aapko dhikaunga.
Jisse aap kisi bhi phone ko Chahe aapke paas kitna bhi low end wala phone hai us phone ko bhi aap gaming phone bana payenge.
Matlob ki BGMI, PUBG and Free Fire khelte time aapko hamesa.
Low ping milta rahega chahe koi bhi SIM aap use kyu na karte ho.
Uske baad low specifications wale phone per BGMI, PUBG and Free Fire lag bahut jyada hi karta hai.
Toh wo jo lag issue hota hai na us lag issue ko ek low end phone se kaise khatam karna hai.
Wo bhi main aapko is wale article ke ander baata dunga jo ki aap jarur se follow karna tabhi aapko best results, best performance mil payega.
But usse pahle aap ek kam jarur se kar dena wo hai.
TechnoMind Ujjwal channel ko subscribe karke bell icon ko press kar diyo and aise hi.
Most interesting topic per article read karne ke liye TechnoMindUjjwal.Net visit karte rahena time time per.
Budget Phone ko Gaming Phone Mein Convert Kaise Kare
Trick 1 –
Sabse pahle hum lag problem ko hamesa ke liye mean permanently solve karenge.
Toh is ke liye aap kya karo, aap jo bhi wala RAM booster ya fir game booster use karte ho.
Usmein game khelte time check out karke dekhna ek uper ke side mein toggle bar aata hai.
Us ke ander aapko bahut se features milega but usmein se sabse jo important option hai wo hai boost wala.
Toh gaming ke bich bich mein aap us boost wale features ko bhi use karte rahena.
Jisse RAM optimize hota rahega and bande aa jane per jo game lag karta hai na wo aapko face karna nahi padega.
Trick 2 –
Yaar ek aur chiz aapko main aapko batana chaunga ki kya aapko pata hai.
2 SIM Card ek hi phone per laga kar use karne se phone slow ho jata hai.
Aur phone slow ho jane se jabhi aap koi game khelte ho like BGMI,PUBG and Free Fire to wo game lag hone lagta hai.
Toh aap kya karo aapne phone per na ek hi SIM card laga ke use karo.
Aapko isse best experience milega try karke ho sake to ek bar dekho 100% working method hai yeh.
Trick 3 –
Jaise ki SIM card se phone slow ho jata hai waise hi extra SD Card bhi yeh same chiz karta hai.
Kyu ki dekho bhai hamare phone per pahle sehi internal storage diya raheta hai.
Aur uske bad bhi agar aap ek 32GB ya fir 64 GB ya fir 128GB ke SD Card aapne phone per dal doge toh.
Bhai aap kitna bhi high price wala phone kyu na lelo wo phone automatically slow chalne lagega.
Aur is extra SD Card ko lagane kar aasar aapko BGMI, PUBG and Free Fire ke ander dekhne ko milega.
Matlob ki game bahut jyada hi lag karne laag jayega mean ki aap game khel hi nahi payoge.
Iise aacha aap 2nd SIM and extra SD Card ko khol kar rakh do jisse aapki phone bhi.
Fast bana rahega and aap ek kam price ke phone mein high level gaming experience pa sakenge.
Trick 4 –
Yeh toh ho gaya lag fix karne ki baat aab hum log ping ko sehi karenge jo sabse jyada problem karta hai kisi bhi low end phone mein.
Toh ping sehi karne ke liye hum sabse pahle ek trick apply karenge jiske liye aap phone ke settings option per jao.
Uske baad about phone option per aapko jana hai then niche aapko ek option milega all space nam se wo aapko open karna hai.
Toh niche rahega storage ya fir internal storage nam se ek option.
Usmein aap jake 7 to 8 time click kijiye then ek new interface khul kar aa jayega jaha per aapko 2 most important option milta hai.
Phone information 1 and phone information 2 kar ke.
Toh phone info 1 mein SIM 1 hai and phone info 2 matlob sim 2 hai. Aapne jis bhi wale port per aapni sim laga rakha hai us sim ko open karo.
Toh wo SIM open karne ke bad aapko niche jakar radio power option ko enable karke.
Ping test per click kijiye aur yeh ping test pass aana chahiye toh then hum log aur ek trick apply karenge uske bad BGMI, PUBG and Free Fire ko open karke dekhna.
Aapko super se bhi uper ping milega and aap ekdam se kush ho jayoge.
Trick 5 –
Is wale trick ke liye hum log ek special app use karenge jiski name hai ping master x.
Is wale app ko just open karne ke bad aap just boost ping per click karke aap ko enable kar dijiye.
Aur yeh app 100% safe and secure hai isse aapke BGMI, PUBG and Free Fire account ban nahi hone wala.
Then aap kya karo aapke settings mein ja kar aapko ek new option milega boost ping wala wo aap enable kar do.
Uske bad just niche add button per click karke aap jo bhi wala game khelte ho BGMI, PUBG and Free Fire mein se us game ko aap add kardo.
Aur is wale aap ka use karke aapko benifit kya milega dekhiye.
Isse gaming ke time DNS automatically optimize hota rahega and aapko isse all time best of the best ping milne wala hai.
Aur us ke sath sath main aapko suggest karunga ki aap ho sake toh ek latest apn settings bhi aapne phone per add kar do.
App Download Link Generated
Jis se aap ko aur bhi aache result milne wala hai.
Latest APN settings ke liye CLICK HERE.
wow, awesome post.Really looking forward to read more. Awesome.Loading…