Bhai pubg khelna kise pasand nahin hai… But jab bhi pubg lag karta hai to koi bhi Banda pareshan ho jata hai and dhundhta rahata hai o kaun kaun se setting hai Jo implement karne se pubg lags fix ho sakta hai. To aaj main aapko kuchh brand new settings dikhaunga jo ki aapko pubg new version ke sath apply karna hai to aapko best and cream like smooth gameplay dekhne ko milega..
1. Pahle Jo setting aapko karna padega wo bahut jyada effective hai aur chote mote lags, aur frame drops fix kar dega taki aap aache se pubg khel payo and yeh trick her ek phone ke liye applicable hai jaise ki 2GB RAM 3 GB RAM or 4 GB RAM wale phones me. Iske liye aap setting option mein jaaiye uske bad apps option ko find karke use per click kijiye then aapko manage aaps per jakar right side mein diye gaye 3 dot per click karna hai, uske bad aapko ek last option dekhne ko milega use tab ke andar jo ki hai reset app performance ka ek setting use per aap click karke reset button per tab kar dena hai to aapke phone mein jitne bhi apps hai o sara reset ho jaega and aapke phone ke andar use app mein jo bhi junk files download kar rakha hai owbhi sara delete ho jaega. Aur sabse jyada interesting kya hai jante ho aap isase aapka koi bhi app data han delete nahin hoga jaise ki pubg maps dresses etc.
2. Second setting sabse jyada highly affected kisi bhi tarak ke gaming lag ko fix karne ke liye, dekhiae hum me se jyadatar log kya karte the pubg game khelne ke sath sath screen record bhi karte, isase kya hota hai aapka phone mein main processor bahut jyada use hone ke Karan aapka game lag karne lagta hai to aapko definitely kuchh setting karna hai tabhi aap pubg khelne ke sath sath screen bhi record kar payenge iske liye to aap sabse pahle pabji mein graphics ko ekadam kam kar dijiye uske bad frame rate ko bhi aapko thoda sa kam karna hai then aap phone ke setting option mein jaaiye uske bad about phone to aapko yahan per build number ya fir UI version pe 7 to 8 times tab karna hai to aapka developer option open ho jaega developer option open hone ke bad ab niche scroll down kijiye to niche ek option dikhega aapko background process limit karke use per aap jaaiye and background process limit ko no background process kar dijiye, to aapka phone screen recording ke sath sath smoothly pubg khelne ke liye bilkul perfect ho jaega and ek setting up kar sakte ho to aapko aur bhi jyada benefits aapko iska milega. Iske liye aap jis bhi screen recorder se aap screen record karte ho uske setting mein jakar resolution and frame rate ko kam se kam set kar dijiye to aapko iska bahut jyada benefit milega pubg lag ko hamesha ke liye fix karne ke liye.
3. Number 3 trick sabse jyada effective and kisi bhi phone mein like 2GB RAM pubg ko run kara sakta hai without any lags. Iske liye Maine ek application use Kiya hai aur app kaun sa hai Kahan se download karna padega vah main aapko aage bataya teta hun. Is app ko open karne ke bad aapko junk files sabse pahle delete karna hai jo ki aap ke phone mein internet and internet surfing se download hota rahata hai. Woh kafi deeply clean kar deta hai usse aapka phone kafi clean rahega and pubg be sahi se chalne lag jaega, aur is app ke andar aur bhi bahut sare best features aapko milta hai jaise ki RAM booster, cool down features, battery saver and junk cleaner ka option to hai. To iske bad aapko pubs open karna padega jaise ki aap normally open kar to bahar se. Pubg open Kartai upar notification panel mein ek notification aapko milega jiski madad se aap serf or serf one click mein har ek cheez access kar sakte ho. Jo ki bahut jyada effective kisi bhi mobile mein pubg lag ko fix karne ke liye.